Sunday 25 November 2012

Chhoti si hai Prem-Kahani

Badi lambi kahani nahi yeh,
chhoti si hai Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani...
Jaane kab ban baithe sangi-sathi,
yun thi halki si dosti-yaari,
chhoti si hai Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani...
 
Na tha koi Punar-Janam,
na thi koi dastaan purani,
par fir bhi
woh ikk-ikk din mein jeete barso ki zindgaani...
Laakho sapne, hazaaro waadein,
yun hi bunte raaton mein barso ki kahani,
doori thi milon ki, roz mulakat na hoti,
fir bhi ehsas ek-duje ki chhuan ka har saans dilati...
Ek sapna bunta, Duja unmein rang bharta,
ajab tha woh diwana, ajab thi woh diwani,
chhoti si hai Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani...

The dono anjaan, unki hai adhuri Prem-Kahani,
mata-pita ki umeedo ko pura karte huye judaa hona pada,
shadi ka bandhan kisi duje se juda...
Chhoot gaya dono ka saath,
Ladki ban gayi kisi aur ki jeewan sangini,
na mita paayi uski chahat dil se,
na bhar payi unn sapno mein rang...
Saccha pyaar uska woh 'Anjana'
agle janam mein mil jaye uska woh diwana,
puri ho jaye yeh Prem-Kahani,
yahi aas liye naye jeewan ki oar badh gayi woh 'Anjani'
adhuri rah gayi Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani.............*


No comments:

Post a Comment