Saturday 15 December 2012

Apni chahat jatati nahi

Aisa nahi ki tum mere ehsaas mein shamil nahi,
hoon main thodi nadaan joh apne hi jazbaat jatati nahi......
Jaante ho tum ki main hoon badi naa-samajh,
naa-samjhi mein ki galti ko Dil se lagate nahi......
Ek pal bhi jab tumhare chehre pe udaasi la deti hoon,
mehsoos karti hoon ki main tumhare kabil nahi......
Chahte ho tum mujhe bepanah,
wakif hoon iss baat se......
Badi khud-garz hoon,
"JIYA"
joh apni chahat jatati nahi.............*

Wednesday 28 November 2012

Ulajh jaate hain Alfaaz

Kabhi kabhi toh na parwah hoti roz mulakaat ki,
aur kabhi bemaani si ho jaati hain nazdikiyaan bhi........
Kabhi toh bin kahe bhi haal samajh jaaya karte,
"JIYA"
aur kabhi ulajh jaate hain Alfaaz bhi.............*

Sunday 25 November 2012

Chhoti si hai Prem-Kahani

Badi lambi kahani nahi yeh,
chhoti si hai Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani...
Jaane kab ban baithe sangi-sathi,
yun thi halki si dosti-yaari,
chhoti si hai Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani...
 
Na tha koi Punar-Janam,
na thi koi dastaan purani,
par fir bhi
woh ikk-ikk din mein jeete barso ki zindgaani...
Laakho sapne, hazaaro waadein,
yun hi bunte raaton mein barso ki kahani,
doori thi milon ki, roz mulakat na hoti,
fir bhi ehsas ek-duje ki chhuan ka har saans dilati...
Ek sapna bunta, Duja unmein rang bharta,
ajab tha woh diwana, ajab thi woh diwani,
chhoti si hai Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani...

The dono anjaan, unki hai adhuri Prem-Kahani,
mata-pita ki umeedo ko pura karte huye judaa hona pada,
shadi ka bandhan kisi duje se juda...
Chhoot gaya dono ka saath,
Ladki ban gayi kisi aur ki jeewan sangini,
na mita paayi uski chahat dil se,
na bhar payi unn sapno mein rang...
Saccha pyaar uska woh 'Anjana'
agle janam mein mil jaye uska woh diwana,
puri ho jaye yeh Prem-Kahani,
yahi aas liye naye jeewan ki oar badh gayi woh 'Anjani'
adhuri rah gayi Prem-Kahani,
ikk Anjana aur ikk Anjani.............*


Friday 16 November 2012

Mohabbat ki Raah

Itna aasan bhi nahi milna humara........
"JIYA"
Mohabbat ki raah mein kaantein hazaar bikhre hain.............*

Wednesday 10 October 2012

Tere sang hi seekha

Tere Wajood ko khud se juda jar paun bhi toh kaise........
Zindagi uss khuda ne bakhshi hai,
"JIYA"
par jeena toh tere sang hi seekha maine.............*

Thursday 16 August 2012

Iss ishq se

Iss ishq se bana li doori maine yaaro.......
Ye mere bass ka rog nahi,
"JIYA"
ki har shaqks ka dil yahan farebi hai..............*

Wednesday 15 August 2012

Hum Bhartiya Hain

Ek insaan ke ishq mein log har mushkil sah jaate hain,
uski har kami ko apna ke uska sath chahte hain........
Fir kyon apne desh mein rah kar bhi usmein kami dikhate hain,
Kyon buraiyon ko door karne aage nahi aate,
"JIYA"
Aur saal mein do din ki jagah, har roz garv se nahi kahte ki Hum Bhartiya Hain..............*

Ek haseen khawab

Ek haseen khawab sa jiya maine har lamha Uske sath ka........
"JIYA"
Mere khawab ki saanse bhi chalti hain Uske chhuan ke ehsas se..............*

Kya khabar thi

Roz badalta raha woh rasam-e-mohabbat........
"JIYA"
Kya khabar thi ki har lamha woh bhi badalta chala gaya..............*

Saturday 4 August 2012

Ishq

Ishq karna ho to puri wafa se karo.........
"JIYA"
Do din mein seekh lo, yeh woh hunar nahi..............*

Tujh se Doori

Tujh se doori joh huyi toh tanhayi bhi raas aane lagi.........
"JIYA"
Issey pahle meri khamoshi bhi ghazal gungunati thi..............*

Hai tum par yakeen

Hai tum par mujhe yakeen kuch aise,
tum mujh se khafa ho na paoge........
Kuch lamha roothoge meri nasamjhi par,
"JIYA"
lekin mujh se juda kabhi na rah paoge..............*

Sunday 29 July 2012

Yeh Hawa

Ikhlati huyi si aayi meri tarf badh ke.......
Kuch phoolon ki khushboo kuch mahuye ki mahak liye,
bachpan ki kuch yaadein kuch atkheliyan, kuch shararte.......
Kacche mitti ke bartano pe pani padne se khil uthi mitti ki mahak,
barsat ki bunde, khile- khile se ped-podhe aur nanhi chidiyon ki chahak......
Kabhi toh sang apne uda lati hai kuch sukhe patto ki bheed,
sarsarati si kheto se nikalti hai aur kabhi gori ke julfon ko ched jaati hai.......
Matwali si yeh hawa kabhi kisi apne ki yaad dilati hai,
toh kabhi apni baahon mein liye baalo ko sahlati hai.......
Kabhi shararti, kabhi natkhat, kabhi adayein dikhati,
purani yaadon ko apni baahon mein samet le aati……             
"JIYA"
Yeh hawa thodi chulbuli, badi masoom hai…..
Yeh hawa............*

Saturday 28 July 2012

Hoon Main Khafa

Hoon main khafa zara,
baat itni badi bhi nahi par bahot badi hai........
Hoon main khafa ki tu mila mujhe par bahot waqt intezar karne par mile.......
Hoon main khafa ki tu bahot apna hai par begana na hojaye iska darr kyon hai......
Hoon main khafa ki tu mujhe chahta to bahot hai par darr hai ki koi aur tujhe na chahe mere siwa......
Hoon main khafa ki humare ehsas toh jude hain par yeh waqt humein door kiye huye hai.......
Hoon main khafa har ek lamhe se joh beete tere bagair mere zindagi ke......
Hoon main khafa ki hum sath toh hain par itne arso tak door kyon rahein........
Hoon main khafa khud se, kuch inhi sawalon ko liye,
Hoon main khafa ki tum mujhe pehle kyon na mile,              
"JIYA"
Hoon main khafa aur thodi mayoos bhi ki tujh bin maine yeh zindagi kaise jee li thi….
Hoon main khafa.............*

Friday 20 July 2012

Uski Khamoshi

Uski khamoshi bhi mujhse baat karti hai,
Tanhayi mein bhi mere sath rahti hai......
Badi masoomiyat se muskarati hai,
To kabhi dil ke har zazbaat kahti hai.....
Kabhi mujhe nihaarti si, kabhi itraati si,
Toh kabhi le ke apni panaah mein mohabbat bepanaah karti hai.....
Kuch na kah ke bhi woh dil ka sab haal kahti hai.....
"JIYA"
Uski khamoshi bhi mujhse baat karti hai..............*

Wednesday 18 July 2012

Bada masoom hai

Mujhse hi chhupaye baitha hai haal-e-dil apna........
Mera dilbar bhi bada masoom hai,
"JIYA"
Joh bhula baitha hai ki mohabbat mein do dilo ke ehsaas bhi jude hote..............*

Yeh Sawan

Yeh sawan bhi badi bechaini liye baitha hai apni nigahon mein.........
"JIYA"
Ki woh haseen iss baar barsaat mein bheegne ko na nikla..............*

Monday 16 July 2012

Pareshan si ikk chahat

Badi pareshan si ikk chahat roothe baithi hai.........
"JIYA"
Mujhse woh apne humsafar ka pata poochhti hain..............*

Sunday 15 July 2012

Aye Khuda

Aye khuda teri talash har shakhs karta firr raha hai..........
"JIYA"
Ab toh dil bhi paak na raha tere banaye insano ka..............*

Safar haseen ho gaya

Manzil paane ki khwahish aur buland ho gayi.........
"JIYA" 
Jab thama usne hath toh safar haseen ho gaya.............*

Saturday 14 July 2012

Teri aankhein

Teri aankhein hi meri uljhano ka sabab ban gayi..........
ikk nazar joh tune dekha,
"JIYA"
Dil apna hi pata puchhne laga..............*

Sunday 8 July 2012

Zindagi ka har Mod

Zindgi ka har mod ek naya sawal le k aata hai...........
"JIYA"
Jawab main khud ban jaau bas itni koshish hai..............*

Purani Yaadein

Chalna bada sambhal ke, har ek kadam ek naya sabak sikhayege,
uljhi huyi yaadon ki dhundhli tasveer de jayega..........
Kuch phoolon se mahakte ehsaas, kuch anchhuye zazbaat,
"JIYA"
Naye kissey saath laayega, purani yaadon ki dho jaayega..............*

Friday 6 July 2012

Naa roke gaye apne Kadam

Mujhse he naa roke gaye apne kadam jo uski taraf badhte gaye...........
"JIYA"
Jee li zindgi paa kar usey par ek pal ki judayi bhi maarti rahi mujhe..............*

Masoomiyat bhari Muskarahat

Ek pyaari si muskarahat hi dil ko sukoon de jaati hai...........
"JIYA" 
Jab woh kisi apne ke labo pe masumiyat se khil jaati hai..............*

Wednesday 4 July 2012

Zindagi bikhar Jayegi

Tum jo mile zindgi sawar jaayegi,
umeed ki har subah nikhar jaayegi...........
Judaayi ki baat na karne mere yaar,
Tumhari kasam
tum jo bichhade agar
"JIYA"
ki zindgi bikhar jaayegi..............*

Tera Intezar

Dekh rahi hu chaand ko aur kar rahi hu tera deedar...........
"JIYA"
Jaane kya hua hai mujhe jo har pal hai tera intezar..............*

Monday 2 July 2012

Mohabbat ki Nishani

Yeh meri narazgi bhi mohabbat ki hi nishani hai...........
"JIYA"
Haqk samjhte hain apna tabhi, manaoge yeh umeed tumse karte hain..............*

Ehsaas hai uski Chhuan ka

Yeh subah bhi badi suhani hai joh shuru uski yaadon se hoti hai...........
"JIYA" 
Iss thandi hawa ki thapki mein ehsaas hai uski chhuan ka..............*

Sunday 1 July 2012

Thoda pagal hai Dilbar mera

Badi tadap hai uski baato mein jaise zara si bhi doori wo seh na paayega...........
"JIYA"
Thoda pagal sa hai dilbar mera, kho dene k darr se mujhe apne kareeb bhi na layega..............*

Ek naya Khawab

Har raat ek naya khawab woh meri aankho pe saja deta hai...........
"JIYA"
Aur yun hi jaagati duniya ko mera dushman bana deta hai...............*

Zindagi ki har subah ek nayi Umeed

Zindgi ki har subah ek nayi umeed k sath hoti hai...........

"JIYA"
Bass zarurat hoti hai sham dhalte-dhalte apne umeedo ko pura kar lene ki...............*

Ye Mohabbat Bhi

Khud ko tak bhula baithenge ye andaaza na tha...........
"JIYA"
Kambakht cheez he aisi hai ye 'mohabbat' bhi...............*

Meri chahat ka Masiha

Tasavvur ko uske paya maine kho ke apna chain-o-sukoon...........
"JIYA"
Aur woh meri chahat ka masiha banta chala gaya..............*

Lamha pichhe chhoot gaya tha

Yun he ek 'lamha' pichhe chhoot gaya tha kahin...........
"JIYA"
Paa kar usey zindgi ki har kami puri ho gayi...............*

Friday 4 May 2012

Samjho usne zindagi jeet li

Jis mein saleeka-e-ishq aur ada-e-wafa ajaye...........
"JIYA"
Samjho usne zindgi ko jeet liya...............*

Bade hi Mashroof log hain

Bade hi mashroof log hain iss zamane mein...........
"JIYA"
Zindgi ki hadbadi mein yeh tak bhool jaate hain ki humsafar pichhey chhoot gaya...............*

Ankahe lafzo mein chhupe raaz

Meri jiss ada ki wajeh se wo mujhe chahne lage the, wahi bhula baithe hain shayad............
"JIYA"
Unke ankahe lafzo mein chhupe raaz aur khamoshi mein chhupe alfaaz ko samjh lena ab bhi aata hai mujhe...............*

Wednesday 2 May 2012

Bikhar ke simati Zindgi


Bikhar ke simati, simat ke fir bikhar gayi............
Zindgi jahan se shuru huyi thi,
"JIYA"
Wahin aa ruki hai...............*

Salika na tha

Mujh me lafzo ko sanwarne ka salika hi na tha shayad............
Itni umeed se ki thi maine ezhaar-e-mohabbat,
"JIYA"
Par uss patthar dil ko na pighla saki...............*

Joh kareeb hai

Joh kareeb hai usey koi chheen nahi sakta............
"JIYA"
Aur joh apna he nahi woh kabhi sath ho nahi sakta.............*

Rishta jod liya tha

Ishq mein toh log kisi ki khoobiyon se kar baithte hain............
"JIYA"
Humne toh uski khaamiyon se bhi rishta jod liya tha.............*

Ab khamosh na raho

Teri khamoshi mein bhi ajab sa nasha hai............
"JIYA"
Nasha hadd se na badh jaaye ke ab khamosh na raho.............*

Monday 30 April 2012

Teri judayi jeene na degi

Mujhse yun na le imtehaan-e-ishq............
"JIYA"
Teri judayi mujhe jeene na degi.............*

Alfaazon ke Mohtaaz nahi rahte

Iss hadd tak ehsas jud gaye ki ab hum Alfaazon ke mohtaaz nahi rahte.............
"JIYA"
Par sath hi waqt aisa aa gaya ki baat karne ki wajeh bhi nahi milti.............*

Usey khushiyan beshumaar deni hai

Uski har ek muskarahat ka karz mujh pe hai...............
"JIYA"
Ishq mein apne usey khushiyan beshumaar deni hai...............*

Afsos bada hua

Badi umeed se maine haal-e-dil bayan to kiya ussey...........
"JIYA"
Par afsos bada hua uski 'Naa' sunne k baad.............*

Alfaaz itne bhi khoobsurat ho sakte hain

Uske labon se ezhaar-e-mohabbat sun ke ehsaas hua........
"JIYA"
Ki Alfaaz kabhi itne bhi khoobsurat ho sakte hain.............*

Sunday 1 April 2012

Ishq ne dard aisa diya

Humara tallukaat na tha shayari se yaaro........
Uske ISHQ ne dard aisa diya,
"JIYA"
Ki ye hunar bhi aa gaya.............*

Alfaaz toh mile koi

Yunhi khamosh reh kar koi mushkil hal hoti hai......??????
Alfaaz toh mile,
"JIYA"
Ki koi baat shuru ho.............*

Uljhan bhari uski yeh baatein

Ajeeb Uljhan bharee hain uski yeh baatein........
Suljhaane joh baithu to,
"JIYA"
Khud bhi Ulajh jaati hoon.............*

Sunday 22 January 2012

Woh aaj kuch gumsum sa laga

Uski muskarahat jaise dard pe malham si hai........
Jaane kab yeh dard jayega,
"JIYA"
Woh aaj kuch gumsum sa laga.............*

Teri muskarahat

Shaamil nahi jis mein teri muskarahat.......
"JIYA"
Woh zindgi kisi zahanum se kam nahi...........*

Aur chaon apno ke liye

Ped ki ghani chaaon si hai meri zindgi.........
"JIYA"
Dhoop apne liye aur chhaon apno ke liye..........*

Ek nayi tasveer bana loon

Rishton ke rang feeke pad gaye yaa dhool jam gayi hai unpe...??
"JIYA"
Gar yeh uljhan sulajh jaaye toh purani yaado ki fir se ek nayi tasveer bana loon..........*

Muskarane ki wajah

Zindgi muskarane ki wajah deti hai, halaat aausuon ka sailab dete hain......
"JIYA"
Hum ek pal muskarate hain to duje hi pal sailab mein doob jaate hain..............*

Haal-e-Zindgi

Mat puchhiye humse haal-e-zindgi.....
"JIYA"
Humari daastan sunne k chakkar mein aap apni kahani bhool jayenge...........*

Naa jaane kitno ko bheegoya

Uski beshumaar mohabbat ko humne apni khush-kismati samjha.........
"JIYA"
Yeh to woh barish thi yaaro, jisne naa jaane kitno ko tha bheegoya.............*

Bewafa hone ki khabar mujhe nahi

Chup-chap tere sitam sahe jaa rahi hoon toh yeh na samajh.........
"JIYA"
Ki tere bewafa hone ki khabar mujhe nahi.............*

Doori aur kareeb le aayi

Ussey doori mujhe uske aur kareeb le aayi.....
"JIYA"
Woh shakhs Mohabbat ka Farishta sa lagta hai..............*

Tuesday 3 January 2012

Nayab sa tohfa

Yeh ikk bada hi nayab sa tohfa hai uski mohabbat ka............
"JIYA"
Muskarate huye joh aansoo chhalak jaate hain meri aankhon se.............*